Quantcast

Thursday, July 24, 2008

Ghalib

hazaaro khwahishein aisi ki har khwahish pe dam nikle
bahut nikle mere armaan lekin phir bhii kam nikle

dare kyu mera qaatil kya rahega uski gardan par
woh khoon jo chashm-e-tar se umar bhar yu dam-ba-dam nikle

nikalna Khuld se aadam ka sunate aye hain lekin
bahut be-aabru hokar tere kuuchaa se ham nikle

bharam khul jaaye zaalim tere qaamat ki daraazii kaa
agar is turraa-e-pura pech-o-kham ka pech-o-kham nikale

magar likhwaye koi usko khat to hamesha likhwaye
hui subah aur ghar se kaan par rakkhar qalam nikale

hui is daur mein mansuub mujhse baadaa-ashaamii
phir aya woh zamaana jo jahaan se jaam-e-jam nikle

hui jinse tavaqqo khastagii ki daad paane ki
woh hamse bhi ziyada khastaa-e-teg-e-sitam nikle

mohabbat mein nahi hai farq jine aur marney ka
usi ko dekh kar jeetein hain jis kaafir pe dam nikle

zara kar jor seeney par ki teer-e-pursitam nikale
jo woh nikle to dil nikle jo dil nikle to dam nikle

khudaa ke vaaste pardaa na kaabe se uthaa zaalim
kahi aisa na ho yahan bhi wohi kaafir sanam nikle

kaha maikhane ka daravaza 'Ghalib' aur kaha vaaiz
par itna jaanate hai kal woh jata thaa ke ham nikale


0 Comment:

Post a Comment

Blog comment guideline